jalne lag jata hai KHwabon ka nagar sham ke baad
jalne lag jaatā hai ḳhvāboñ kā nagar shaam ke baa'd
kitnā mushkil hai ye jazboñ kā safar shaam ke baa'd
'ain-mumkin hai mulāqāt mirī vahshat se
aisā kar tū ki mire dil meñ utar shaam ke baa'd
hamla-zan hijr kī bābat koī pūchhe mujh se
lene aa.e to koī merī ḳhabar shaam ke baa'd
din ko to yaar kā zikr aur hujūm-e-yārāñ
shaam ho jā.egī is taur magar shaam ke baa'd
ik tirā rog ghuTan aur sulagte saa.e
aise ho jaatā hai ye jism khañDar shaam ke baa'd
jalne lag jata hai KHwabon ka nagar sham ke ba'd
kitna mushkil hai ye jazbon ka safar sham ke ba'd
'ain-mumkin hai mulaqat meri wahshat se
aisa kar tu ki mere dil mein utar sham ke ba'd
hamla-zan hijr ki babat koi puchhe mujh se
lene aae to koi meri KHabar sham ke ba'd
din ko to yar ka zikr aur hujum-e-yaran
sham ho jaegi is taur magar sham ke ba'd
ek tera rog ghuTan aur sulagte sae
aise ho jata hai ye jism khanDar sham ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.