jalta hai koh-e-tur to jal jaane dijiye
jaltā hai koh-e-tūr to jal jaane dījiye
muusā kī aarzū to nikal jaane dījiye
achchhe nahīñ jabīñ pe ye bal jaane dījiye
dil meñ bharā hai kuchh to nikal jaane dījiye
ro.eñge yaad kar ke bahut ham ko ahl-e-husn
thoḌī sī dhuup husn kī Dhal jaane dījiye
badleñ agar na aap to phir koī ġham nahīñ
duniyā badal ga.ī to badal jaane dījiye
dushman kā jhuuT aa.egā ḳhud khul ke sāmne
filhāl un ke ġhusse ko Tal jaane dījiye
ġham sham.a ko rahegā sahar us kī maut par
parvāne ko bhī saath hī jal jaane dījiye
jalta hai koh-e-tur to jal jaane dijiye
musa ki aarzu to nikal jaane dijiye
achchhe nahin jabin pe ye bal jaane dijiye
dil mein bhara hai kuchh to nikal jaane dijiye
roenge yaad kar ke bahut hum ko ahl-e-husn
thoDi si dhup husn ki Dhal jaane dijiye
badlen agar na aap to phir koi gham nahin
duniya badal gai to badal jaane dijiye
dushman ka jhuT aaega KHud khul ke samne
filhaal un ke ghusse ko Tal jaane dijiye
gham shama ko rahega sahar us ki maut par
parwane ko bhi sath hi jal jaane dijiye
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 98)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.