jalta raha hun dil ko jalata raha hun main
jaltā rahā huuñ dil ko jalātā rahā huuñ maiñ
dāmān-e-husn dost bachātā rahā huuñ maiñ
har chand zaḳhm dil hī pe khātā rahā huuñ maiñ
un se magar nigāh milātā rahā huuñ maiñ
va.ada kī shaam aap to aa.e nahīñ magar
dil ko bajā.e sham.a jalātā rahā huuñ maiñ
kaif-e-tamām-e-ishq kā aalam na pūchhiye
ḳhud un ko bhī sharāb pilātā rahā huuñ maiñ
terā ḳhayāl terā tasavvur liye hue
zarroñ ko āftāb banātā rahā huuñ maiñ
'maḳhmūr' merī be-ḳhudī-e-shauq dekhnā
parda uThe hue bhī girātā rahā huuñ maiñ
jalta raha hun dil ko jalata raha hun main
daman-e-husn dost bachata raha hun main
har chand zaKHm dil hi pe khata raha hun main
un se magar nigah milata raha hun main
wada ki sham aap to aae nahin magar
dil ko bajae shama jalata raha hun main
kaif-e-tamam-e-ishq ka aalam na puchhiye
KHud un ko bhi sharab pilata raha hun main
tera KHayal tera tasawwur liye hue
zarron ko aaftab banata raha hun main
'maKHmur' meri be-KHudi-e-shauq dekhna
parda uThe hue bhi giraata raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.