jalta raha main raat ki tanhaiyon ke sath
jaltā rahā maiñ raat kī tanhā.iyoñ ke saath
aur tum rahe ho sub.h kī ra.anā.iyoñ ke saath
ai zindagī batā de zarā itnā tū mujhe
kab tak rahegī bhāgtī parchhā.iyoñ ke saath
gul-rut ne chūmā jaise hī kal raat kā badan
khilne lagī kalī kalī añgḌā.iyoñ ke saath
mujh se mile to dil ke to parde haTā ke mil
tū hai qubūl phir tirī sachchā.iyoñ ke saath
ruḳhsat huī to lab pe duā.eñ thī be-shumār
āñkheñ baras paḌīñ mirī shahnā.iyoñ ke saath
shikve-gile to duur se hote rahe magar
ik baar mil ke baat na kī bhā.iyoñ ke saath
duniyā se chal base haiñ jo 'irshād' dekhnā
ā.eñge yaad apnī vo achchhā.iyoñ ke saath
jalta raha main raat ki tanhaiyon ke sath
aur tum rahe ho subh ki ranaiyon ke sath
ai zindagi bata de zara itna tu mujhe
kab tak rahegi bhagti parchhaiyon ke sath
gul-rut ne chuma jaise hi kal raat ka badan
khilne lagi kali kali angDaiyon ke sath
mujh se mile to dil ke to parde haTa ke mil
tu hai qubul phir teri sachchaiyon ke sath
ruKHsat hui to lab pe duaen thi be-shumar
aankhen baras paDin meri shahnaiyon ke sath
shikwe-gile to dur se hote rahe magar
ek bar mil ke baat na ki bhaiyon ke sath
duniya se chal base hain jo 'irshad' dekhna
aaenge yaad apni wo achchhaiyon ke sath
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 247)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.