jalta rahe charagh hawaon pe bas nahin
jaltā rahe charāġh havāoñ pe bas nahīñ
hai ehtimām-e-shām koī ham-nafas nahīñ
raste pukārte haiñ hameñ duur duur se
mahsūr-e-zāt hai koī dām-e-qafas nahīñ
vo mil rahā hai ġhair se itne ḳhulūs se
shikva kareñ bhī kyā ki vo ahl-e-havas nahīñ
jhilmil sī yaad palkoñ pe Thahrī rahī magar
dil thā jo be-qarār vo ab ke baras nahīñ
bahte haiñ mauj-e-āb pe sail-e-ravāñ ke saath
tham jaa.eñ rāstoñ pe vo ḳhāshāk-o-ḳhas nahīñ
bin tere aa ke Thahr gayā qāfila kahāñ
sunte haiñ jal-tarañg sadā-e-jaras nahīñ
jalta rahe charagh hawaon pe bas nahin
hai ehtimam-e-sham koi ham-nafas nahin
raste pukarte hain hamein dur dur se
mahsur-e-zat hai koi dam-e-qafas nahin
wo mil raha hai ghair se itne KHulus se
shikwa karen bhi kya ki wo ahl-e-hawas nahin
jhilmil si yaad palkon pe Thahri rahi magar
dil tha jo be-qarar wo ab ke baras nahin
bahte hain mauj-e-ab pe sail-e-rawan ke sath
tham jaen raston pe wo KHashak-o-KHas nahin
bin tere aa ke Thahr gaya qafila kahan
sunte hain jal-tarang sada-e-jaras nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.