jalti hui zamin ki nigahen taras gain
jaltī huī zamīñ kī nigāheñ taras ga.iiñ
jā kar samundaroñ pe ghaTā.eñ baras ga.iiñ
Thahre na pag havāoñ ke taptī zamīn par
shabnam-sifat jo aa.iiñ to sho.ala-nafas ga.iiñ
shādāb vādiyāñ thiiñ jahāñ ab vahāñ haiñ dasht
sarsar kī nāgineñ ghane peḌoñ ko Das ga.iiñ
phailā huā hai pyaas kā sahrā nigāh meñ
amrit bharī ghaTāoñ ko āñkheñ taras ga.iiñ
ḳhālī hai ab makān ki ḳhvāhish kī sūrateñ
aglī mohabbatoñ ke mazāroñ meñ bas ga.iiñ
dilkash bahut thī aag thī jab tak paḌos meñ
phailī jo apne ghar meñ umīdeñ jhulas ga.iiñ
'shāhid' unhī meñ thī vo jise chāhtā huuñ maiñ
mujh par jo laḌkiyāñ sar-e-bāzār hans ga.iiñ
jalti hui zamin ki nigahen taras gain
ja kar samundaron pe ghaTaen baras gain
Thahre na pag hawaon ke tapti zamin par
shabnam-sifat jo aain to shoala-nafas gain
shadab wadiyan thin jahan ab wahan hain dasht
sarsar ki naginen ghane peDon ko Das gain
phaila hua hai pyas ka sahra nigah mein
amrit bhari ghaTaon ko aankhen taras gain
KHali hai ab makan ki KHwahish ki suraten
agli mohabbaton ke mazaron mein bas gain
dilkash bahut thi aag thi jab tak paDos mein
phaili jo apne ghar mein umiden jhulas gain
'shahid' unhi mein thi wo jise chahta hun main
mujh par jo laDkiyan sar-e-bazar hans gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.