jalwa afroz hai kaba ke ujalon ki tarah
jalva afroz hai kā'ba ke ujāloñ kī tarah
dil kī tā'mīr ki kal tak thī shivāloñ kī tarah
aql-e-vārafta ke be-nūr bayābānoñ meñ
ham bhaTakte rahe āvāra ḳhayāloñ kī tarah
ham ki is bazm meñ haiñ sāya-e-ġham kī sūrat
kaun dekhegā hameñ zohra-jamāloñ kī tarah
haath baḌhtā nahīñ rindoñ kā hamārī jānib
ham ḳharābāt meñ haiñ ḳhālī piyāloñ kī tarah
jab koī ḳhār-e-sitam dil meñ utar aatā hai
phuuT kar rotā hai dil paañv ke chhāloñ kī tarah
jab bhī paḌhtā huuñ kitāb-e-ġham-e-hastī ai dil
tazkira un kā bhī miltā hai havāloñ kī tarah
soz-o-ehsās kī tasvīr hai qalb-e-shā.ir
naġhme taḳhlīq huā karte haiñ nāloñ kī tarah
arsa-e-dahr meñ kī ham ne basar 'yazdānī'
zulmat-e-shab kī tarah din ke ujāloñ kī tarah
jalwa afroz hai ka'ba ke ujalon ki tarah
dil ki ta'mir ki kal tak thi shiwalon ki tarah
aql-e-warafta ke be-nur bayabanon mein
hum bhaTakte rahe aawara KHayalon ki tarah
hum ki is bazm mein hain saya-e-gham ki surat
kaun dekhega hamein zohra-jamalon ki tarah
hath baDhta nahin rindon ka hamari jaanib
hum KHarabaat mein hain KHali piyalon ki tarah
jab koi KHar-e-sitam dil mein utar aata hai
phuT kar rota hai dil panw ke chhaalon ki tarah
jab bhi paDhta hun kitab-e-gham-e-hasti ai dil
tazkira un ka bhi milta hai hawalon ki tarah
soz-o-ehsas ki taswir hai qalb-e-shair
naghme taKHliq hua karte hain nalon ki tarah
arsa-e-dahr mein ki hum ne basar 'yazdani'
zulmat-e-shab ki tarah din ke ujalon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.