jalwa-e-hosh-ruba koi dikhaya jae
jalva-e-hosh-rubā koī dikhāyā jaa.e
'ālam-e-shauq ko dīvāna banāyā jaa.e
tū ne duniyā hī badal dī mire armānoñ kī
ġham-e-daurāñ tujhe siine se lagāyā jaa.e
jāgte jāgte qismat ko sulā baiThā huuñ
mirī soī huī qismat ko jagāyā jaa.e
aao ai ḳhvāb-gah-e-nāz kī nīñdo ki tumheñ
jāgtī rātoñ kā andāz dikhāyā jaa.e
hashr ko hashr uThāne kī zarūrat na rahe
hashr se pahle koī hashr uThāyā jaa.e
sāz-e-dil TuuT gayā vaqt gayā naġhmoñ kā
ab javānī kā koī nauha sunāyā jaa.e
aap jalvoñ ko sameTe hue kyoñ baiThe haiñ
ābshāroñ kī tarah nuur luTāyā jaa.e
mauja-e-zulf-e-mo'ambar kā taqāzā hai yahī
nik.hat-o-nūr kā tūfān uThāyā jaa.e
'charḳh' vo mai-kada-bar-dosh ghaTā.eñ aa.iiñ
hurmat-e-tauba ko ḳhātir meñ na laayā jaa.e
jalwa-e-hosh-ruba koi dikhaya jae
'alam-e-shauq ko diwana banaya jae
tu ne duniya hi badal di mere armanon ki
gham-e-dauran tujhe sine se lagaya jae
jagte jagte qismat ko sula baiTha hun
meri soi hui qismat ko jagaya jae
aao ai KHwab-gah-e-naz ki nindo ki tumhein
jagti raaton ka andaz dikhaya jae
hashr ko hashr uThane ki zarurat na rahe
hashr se pahle koi hashr uThaya jae
saz-e-dil TuT gaya waqt gaya naghmon ka
ab jawani ka koi nauha sunaya jae
aap jalwon ko sameTe hue kyon baiThe hain
aabshaaron ki tarah nur luTaya jae
mauja-e-zulf-e-mo'ambar ka taqaza hai yahi
nikhat-o-nur ka tufan uThaya jae
'charKH' wo mai-kada-bar-dosh ghaTaen aain
hurmat-e-tauba ko KHatir mein na laya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.