jalwa-e-mehr-o-mah kya sham-o-sahar mein kuchh nahin
jalva-e-mehr-o-māh kyā shām-o-sahar meñ kuchh nahīñ
ab tirī yaad ke sivā merī nazar meñ kuchh nahīñ
pahlī nigāh ishq kī karnī hai sehr-e-husn par
ek hī baar dekhiye bār-e-digar meñ kuchh nahīñ
ab maiñ huuñ us maqām par ranj-o-ḳhushī jahāñ haiñ ek
shām-e-alam kā zikr kyā nūr-e-sahar meñ kuchh nahīñ
tū hī nahīñ jo ham-kanār phuul kahāñ kahāñ bahār
ab ye jahān-e-lāla-zār merī nazar meñ kuchh nahīñ
ye tirā husn-e-ārzī ye tirī shān-e-be-ruḳhī
terī nazar meñ kuchh sahī merī nazar meñ kuchh nahīñ
jalwa-e-mehr-o-mah kya sham-o-sahar mein kuchh nahin
ab teri yaad ke siwa meri nazar mein kuchh nahin
pahli nigah ishq ki karni hai sehr-e-husn par
ek hi bar dekhiye bar-e-digar mein kuchh nahin
ab main hun us maqam par ranj-o-KHushi jahan hain ek
sham-e-alam ka zikr kya nur-e-sahar mein kuchh nahin
tu hi nahin jo ham-kanar phul kahan kahan bahaar
ab ye jahan-e-lala-zar meri nazar mein kuchh nahin
ye tera husn-e-arzi ye teri shan-e-be-ruKHi
teri nazar mein kuchh sahi meri nazar mein kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.