jalwa-gah-e-dil mein marte hi andhera ho gaya
jalva-gāh-e-dil meñ marte hī añdherā ho gayā
jis meñ the jalve tire vo aa.ina kyā ho gayā
jab tasavvur ne baḌhā dī nāla-e-mauzūñ kī lai
sāz-e-be-āvāz se ik sher paidā ho gayā
najd ke hirnoñ se e.ajāz-e-mohabbat pochhiye
paḌ ga.ī jis par nigāh-e-qais lailā ho gayā
jaan de dī maiñ ne tañg aa kar vufūr-e-dard se
aaj manshā-e-jafā-e-dost puurā ho gayā
ab kahāñ māyūsiyoñ meñ zabt kī gunjā.isheñ
vo bhī kyā din the ki terā ġham gavārā ho gayā
dil khiñchā jitnā qafas meñ āshiyāne kī taraf
duur utnā hī qafas se āshiyānā ho gayā
rafta rafta ho ga.e jazb us meñ jalve saiñkaḌoñ
dil mirā 'sīmāb' tasvīr-e-sarāpā ho gayā
jalwa-gah-e-dil mein marte hi andhera ho gaya
jis mein the jalwe tere wo aaina kya ho gaya
jab tasawwur ne baDha di nala-e-mauzun ki lai
saz-e-be-awaz se ek sher paida ho gaya
najd ke hirnon se eajaz-e-mohabbat pochhiye
paD gai jis par nigah-e-qais laila ho gaya
jaan de di main ne tang aa kar wufur-e-dard se
aaj mansha-e-jafa-e-dost pura ho gaya
ab kahan mayusiyon mein zabt ki gunjaishen
wo bhi kya din the ki tera gham gawara ho gaya
dil khincha jitna qafas mein aashiyane ki taraf
dur utna hi qafas se aashiyana ho gaya
rafta rafta ho gae jazb us mein jalwe sainkaDon
dil mera 'simab' taswir-e-sarapa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.