jalwa-ha-e-zindagi ko kya kahen
jalva-hā-e-zindagī ko kyā kaheñ
chaar din kī chāñdnī ko kyā kaheñ
dekhte haiñ chehra-e-ḳhāshāk bhī
phuul terī tāzgī ko kyā kaheñ
tifl-e-maktab kī nazar bhī kyā nazar
aql terī rahbarī ko kyā kaheñ
āñdhiyoñ se dekhiye us kā ġhurūr
ḳhāk-e-pā kī ājizī ko kyā kaheñ
dil ġham-o-andoh se ḳhālī to ho
lāla-o-gul kī hañsī ko kyā kaheñ
kuchh nahīñ sab khel hai taqdīr kā
vaqt terī be-ruḳhī ko kyā kaheñ
sab se kah detā hai 'ahmad' hāl-e-dil
us ke dil kī sādgī ko kyā kaheñ
jalwa-ha-e-zindagi ko kya kahen
chaar din ki chandni ko kya kahen
dekhte hain chehra-e-KHashak bhi
phul teri tazgi ko kya kahen
tifl-e-maktab ki nazar bhi kya nazar
aql teri rahbari ko kya kahen
aandhiyon se dekhiye us ka ghurur
KHak-e-pa ki aajizi ko kya kahen
dil gham-o-andoh se KHali to ho
lala-o-gul ki hansi ko kya kahen
kuchh nahin sab khel hai taqdir ka
waqt teri be-ruKHi ko kya kahen
sab se kah deta hai 'ahmad' haal-e-dil
us ke dil ki sadgi ko kya kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.