jalwa paband-e-tur hai ab tak
jalwa paband-e-tur hai ab tak
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
jalva pāband-e-tūr hai ab tak
dil vahī koh-e-nūr hai ab tak
ziist se kam nahīñ ḳhushī lekin
ġham matā.a-e-shu.ūr hai ab tak
fāsla bas nishāt-o-ġham kā hai
vo qarīñ hai na duur hai ab tak
mai-kashī kā agar salīqa ho
ġham meñ kaif-o-surūr hai ab tak
dil kī chaukhaT pe hai ġhamoñ kī bhiiḌ
dil meñ koī zarūr hai ab tak
din kā sūraj to Dhal gayā kab kā
zikr-e-ruḳhsār-e-hūr hai ab tak
har pas-e-ruḳh hai ik ruḳh-e-raushan
zindagī kā zuhūr hai ab tak
ye tirā munkasir-mizāj 'kalīm'
banda-e-pur-ġhayūr hai ab tak
jalwa paband-e-tur hai ab tak
dil wahi koh-e-nur hai ab tak
zist se kam nahin KHushi lekin
gham mataa-e-shuur hai ab tak
fasla bas nishat-o-gham ka hai
wo qarin hai na dur hai ab tak
mai-kashi ka agar saliqa ho
gham mein kaif-o-surur hai ab tak
dil ki chaukhaT pe hai ghamon ki bhiD
dil mein koi zarur hai ab tak
din ka suraj to Dhal gaya kab ka
zikr-e-ruKHsar-e-hur hai ab tak
har pas-e-ruKH hai ek ruKH-e-raushan
zindagi ka zuhur hai ab tak
ye tera munkasir-mizaj 'kalim'
banda-e-pur-ghayur hai ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.