jalwe hain tere husn ke sham-o-sahar alag alag
jalve haiñ tere husn ke shām-o-sahar alag alag
bahr-e-nazāra chāhiye zauq-e-nazar alag alag
husn-e-azal hai munfarid jalve haiñ us ke be-shumār
bāda-e-nāb ek hai ḳhum haiñ magar alag alag
ahl-e-havas ko hai surūr sāhib-e-dil ko be-ḳhudī
nargis-e-nāz ne kiyā apnā asar alag alag
ye bhī hai koī zindagī aisī bhī kyā kashīdgī
ham haiñ idhar judā judā vo haiñ udhar alag alag
ġhair pe raaz khul gayā husn ko taish aa gayā
nāla-e-shauq ne kiyā apnā asar lag alag
mast-e-nashāt-o-sarḳhushī shab ko baham the husn-o-ishq
shor-e-azāñ ne kar diyā vaqt-e-sahar alag alag
sharm kā un ko hai lihāz vaz.a kā ham ko hai ḳhayāl
ham bhī haiñ un se duur duur vo haiñ agar alag alag
un ko ye Dar thā bazm meñ ahl-e-nazar ko shak na ho
aa.e to mere saath saath baiThe magar alag alag
maiñ bhī huuñ muztarib 'valī' yaar ko bhī hai bekalī
donoñ kā haal hai burā vaqt-e-safar alag alag
jalwe hain tere husn ke sham-o-sahar alag alag
bahr-e-nazara chahiye zauq-e-nazar alag alag
husn-e-azal hai munfarid jalwe hain us ke be-shumar
baada-e-nab ek hai KHum hain magar alag alag
ahl-e-hawas ko hai surur sahib-e-dil ko be-KHudi
nargis-e-naz ne kiya apna asar alag alag
ye bhi hai koi zindagi aisi bhi kya kashidgi
hum hain idhar juda juda wo hain udhar alag alag
ghair pe raaz khul gaya husn ko taish aa gaya
nala-e-shauq ne kiya apna asar lag alag
mast-e-nashat-o-sarKHushi shab ko baham the husn-o-ishq
shor-e-azan ne kar diya waqt-e-sahar alag alag
sharm ka un ko hai lihaz waza ka hum ko hai KHayal
hum bhi hain un se dur dur wo hain agar alag alag
un ko ye Dar tha bazm mein ahl-e-nazar ko shak na ho
aae to mere sath sath baiThe magar alag alag
main bhi hun muztarib 'wali' yar ko bhi hai bekali
donon ka haal hai bura waqt-e-safar alag alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.