jalwe jalwe ka naya andaz hai
jalve jalve kā nayā andāz hai
har taraf ik dilrubā e.ajāz hai
ruuh par ik kaif-e-soz-o-sāz hai
dil meñ koī yuuñ navā-parvāz hai
ishq ke naġhmoñ kā ye e.ajāz hai
har sadā merī tirī āvāz hai
dil meñ bhar dī kis ne ye barq-e-navā
naġhma naġhma par vo soz-e-sāz hai
āstān-e-gul kabhī chhuTtā nahīñ
ab qafas hai hasrat-e-parvāz hai
ibtidā bhī intihā bhī shauq hai
kyā mirā anjām kyā āġhāz hai
ḳhud badal Daalo mizāj-e-jism-o-jāñ
jab havā-e-zindagī nā-sāz hai
kis ko 'ārif' hosh-e-ādāb-e-niyāz
sāmne jab vo harīm-e-nāz hai
jalwe jalwe ka naya andaz hai
har taraf ek dilruba eajaz hai
ruh par ek kaif-e-soz-o-saz hai
dil mein koi yun nawa-parwaz hai
ishq ke naghmon ka ye eajaz hai
har sada meri teri aawaz hai
dil mein bhar di kis ne ye barq-e-nawa
naghma naghma par wo soz-e-saz hai
aastan-e-gul kabhi chhuTta nahin
ab qafas hai hasrat-e-parwaz hai
ibtida bhi intiha bhi shauq hai
kya mera anjam kya aaghaz hai
KHud badal Dalo mizaj-e-jism-o-jaan
jab hawa-e-zindagi na-saz hai
kis ko 'arif' hosh-e-adab-e-niyaz
samne jab wo harim-e-naz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.