jalwe kisi ke yun to numayan nahin rahe
jalve kisī ke yuuñ to numāyāñ nahīñ rahe
lekin mirī nigāh se pinhāñ nahīñ rahe
ham ne bharī bahār meñ chhoḌā hai gulsitāñ
sharminda-e-bahār gulistāñ nahīñ rahe
duniyā to be-ḳhabar hai maiñ duniyā ko kyā kahūñ
tum bhī ye kah rahe ho pareshāñ nahīñ rahe
bazm-e-tasavvurāt baḌā kaam kar ga.ī
ab un kī be-ruḳhī ke bhī imkāñ nahīñ rahe
jo mere saath saath rahe bahr-e-'ishq meñ
maiñ ġharq ho gayā to vo tūfāñ nahīñ rahe
dīvāne qaid-o-band se āzād ho ga.e
zindāñ junūñ ke daur meñ zindāñ nahīñ rahe
josh-e-junūñ tabassum-e-gul kuchh na pūchhiye
dāman kā zikr kyā hai garebāñ nahīñ rahe
jalwe kisi ke yun to numayan nahin rahe
lekin meri nigah se pinhan nahin rahe
hum ne bhari bahaar mein chhoDa hai gulsitan
sharminda-e-bahaar gulistan nahin rahe
duniya to be-KHabar hai main duniya ko kya kahun
tum bhi ye kah rahe ho pareshan nahin rahe
bazm-e-tasawwuraat baDa kaam kar gai
ab un ki be-ruKHi ke bhi imkan nahin rahe
jo mere sath sath rahe bahr-e-'ishq mein
main gharq ho gaya to wo tufan nahin rahe
diwane qaid-o-band se aazad ho gae
zindan junun ke daur mein zindan nahin rahe
josh-e-junun tabassum-e-gul kuchh na puchhiye
daman ka zikr kya hai gareban nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.