jalwon ko baryab kiye ja rahi hun main
jalvoñ ko bāryāb kiye jā rahī huuñ maiñ
qalb-o-nazar ḳharāb kiye jā rahī huuñ maiñ
bahkī huuñ maiñ latīf javānī ke kaif meñ
har chiiz ko sharāb kiye jā rahī huuñ maiñ
kitnā buland hai mirī ta.amīr kā mazāq
tāroñ ko āftāb kiye jā rahī huuñ maiñ
kyoñ maiñ gunāh-e-ishq se Dartī huuñ is qadar
hastī ko kyoñ azaab kiye jā rahī huuñ maiñ
'najma' nigāh-e-shauq ko hadd-e-nigāh tak
jalvoñ se faiz-yāb kiye jā rahī huuñ maiñ
jalwon ko baryab kiye ja rahi hun main
qalb-o-nazar KHarab kiye ja rahi hun main
bahki hun main latif jawani ke kaif mein
har chiz ko sharab kiye ja rahi hun main
kitna buland hai meri tamir ka mazaq
taron ko aaftab kiye ja rahi hun main
kyon main gunah-e-ishq se Darti hun is qadar
hasti ko kyon azab kiye ja rahi hun main
'najma' nigah-e-shauq ko hadd-e-nigah tak
jalwon se faiz-yab kiye ja rahi hun main
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 169)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.