jalwon ko tere aaj sar-e-‘am dekh kar
jalvoñ ko tere aaj sar-e-‘ām dekh kar
sharminda huuñ maiñ zauq-e-nazar ḳhaam dekh kar
saaqī kī aur baḌh ga.iiñ be-iltifātiyāñ
dast-e-talab meñ TuuTā huā jaam dekh kar
ḳhāroñ ko bhī na hogī tamannā-e-fasl-e-gul
ab mausam-e-bahār kā anjām dekh kar
har zarra dil kā hai ġham-e-jānāñ kī jalva-gāh
chalnā ġham-e-hayāt bahar-gām dekh kar
duniyā bhī mere dil kī talabgār ban ga.ī
merā ḳhulūs merī vafā 'aam dekh kar
'aḳhtar' na jaane kis liye haiñ mujh pe tā’na-zan
kuchh log un ke saath mirā naam dekh kar
jalwon ko tere aaj sar-e-‘am dekh kar
sharminda hun main zauq-e-nazar KHam dekh kar
saqi ki aur baDh gain be-iltifatiyan
dast-e-talab mein TuTa hua jam dekh kar
KHaron ko bhi na hogi tamanna-e-fasl-e-gul
ab mausam-e-bahaar ka anjam dekh kar
har zarra dil ka hai gham-e-jaanan ki jalwa-gah
chalna gham-e-hayat bahar-gam dekh kar
duniya bhi mere dil ki talabgar ban gai
mera KHulus meri wafa 'am dekh kar
'aKHtar' na jaane kis liye hain mujh pe ta’na-zan
kuchh log un ke sath mera nam dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.