jalwon se mere hosh uDane mein lage hain
jalvoñ se mire hosh uḌāne meñ lage haiñ
vo phir mujhe dīvāna banāne meñ lage haiñ
mar-mar ke kiye jaate haiñ ham yaad unheñ yaañ
aur vo hameñ vaañ dil se bhulāne meñ lage haiñ
vo aa.e kare kaun pazīrā.ī ab un kī
armāñ to yahāñ dhuum machāne meñ lage haiñ
phir dasht-e-talab aaj hai bebākī pe maa.il
vo dāman-e-nāz apnā chhuḌāne meñ lage haiñ
maiñ huuñ ki miTā jaatā huuñ har baat pe un kī
aur vo haiñ ki dil merā dukhāne meñ lage haiñ
'sāhir' jinheñ maiñ ne diyā mahbūbī kā rutba
vo nām-o-nishāñ merā miTāne meñ lage haiñ
jalwon se mere hosh uDane mein lage hain
wo phir mujhe diwana banane mein lage hain
mar-mar ke kiye jate hain hum yaad unhen yan
aur wo hamein wan dil se bhulane mein lage hain
wo aae kare kaun pazirai ab un ki
arman to yahan dhum machane mein lage hain
phir dasht-e-talab aaj hai bebaki pe mail
wo daman-e-naz apna chhuDane mein lage hain
main hun ki miTa jata hun har baat pe un ki
aur wo hain ki dil mera dukhane mein lage hain
'sahir' jinhen main ne diya mahbubi ka rutba
wo nam-o-nishan mera miTane mein lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.