Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jam jo tinke kiye the aashiyane ke liye

Sabir Naseerabadi

jam jo tinke kiye the aashiyane ke liye

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    jam' jo tinke kiye the āshiyāne ke liye

    ho ga.e majbūr ham ḳhud jalāne ke liye

    har ḳhushī kuchh na kuchh ġham se ta'alluq hai zarūr

    ġham koī laa.e kahāñ se muskurāne ke liye

    haañ inhīñ logoñ ne chhup kar ghar jalāyā hai mirā

    mehrbāñ ban kar jo aa.e haiñ bujhāne ke liye

    kyā huī vo raunaq-e-ā.īna-ḳhāna kyā huī

    ik nazar kaafī thī jis ke muskurāne ke liye

    raat zahrīlī nāgin ga.ī jalte charāġh

    ham to nikle the añdheroñ ko miTāne ke liye

    kitnā sāda-lauh sāda-dil hai 'sābir' aaj bhī

    ġham uThātā hai zamāne ke zamāne ke liye

    jam' jo tinke kiye the aashiyane ke liye

    ho gae majbur hum KHud hi jalane ke liye

    har KHushi ka kuchh na kuchh gham se ta'alluq hai zarur

    gham koi lae kahan se muskurane ke liye

    han inhin logon ne chhup kar ghar jalaya hai mera

    mehrban ban kar jo aae hain bujhane ke liye

    kya hui wo raunaq-e-aina-KHana kya hui

    ek nazar kafi thi jis ke muskurane ke liye

    raat ki zahrili nagin pi gai jalte charagh

    hum to nikle the andheron ko miTane ke liye

    kitna sada-lauh sada-dil hai 'sabir' aaj bhi

    gham uThata hai zamane ke zamane ke liye

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now