jamal-e-shahid-e-fitrat ka parda-dar hun main
jamāl-e-shāhid-e-fitrat kā parda-dār huuñ maiñ
guloñ kī kyā ho tamanna ki ḳhud bahār huuñ maiñ
alam kī tah meñ bhī rang-e-nashāt shāmil hai
mizāj-e-hastī-e-fānī kā rāzdār huuñ maiñ
ajab tilism kā aalam hai bazm-e-sāqī meñ
na be-ḳhabar huuñ maiñ ḳhud se na hoshiyār huuñ maiñ
jabīn-e-shauq kabhī vaqf-e-āstāñ na huī
vaqār-e-ishq-o-mohabbat kā pāsdār huuñ maiñ
jiyūñ to nang-e-mohabbat marūñ to nang-e-vafā
asīr-e-kashmakash-e-jabr-o-iḳhtiyār huuñ maiñ
ḳhudā kare koī terā payām le aa.e
tire baġhair ka.ī din se be-qarār huuñ maiñ
'bahār' mujh se mohabbat kā haq adā na huā
samajh rahā thā zamāna vafā-shi.ār huuñ maiñ
jamal-e-shahid-e-fitrat ka parda-dar hun main
gulon ki kya ho tamanna ki KHud bahaar hun main
alam ki tah mein bhi rang-e-nashat shamil hai
mizaj-e-hasti-e-fani ka raazdar hun main
ajab tilism ka aalam hai bazm-e-saqi mein
na be-KHabar hun main KHud se na hoshiyar hun main
jabin-e-shauq kabhi waqf-e-astan na hui
waqar-e-ishq-o-mohabbat ka pasdar hun main
jiyun to nang-e-mohabbat marun to nang-e-wafa
asir-e-kashmakash-e-jabr-o-iKHtiyar hun main
KHuda kare koi tera payam le aae
tere baghair kai din se be-qarar hun main
'bahaar' mujh se mohabbat ka haq ada na hua
samajh raha tha zamana wafa-shiar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.