jamal-o-husn ki wo anjuman mein kya baiThe
jamāl-o-husn kī vo anjuman meñ kyā baiThe
matā-e-hosh-o-ḳhirad hī ko jo gañvā baiThe
jinheñ adab se ilāqa na fikr-o-fan se lagāo
hamārī bazm meñ aise bhī log aa baiThe
kabhī buzurgoñ se mīrās meñ jo paa.ī thī
vo saarī qadreñ vo tahzīb ham bhulā baiThe
maiñ sochtā huuñ vo insān haiñ ki haivāñ haiñ
haiñ kaun jo na kabhī mil ke ek jā baiThe
unheñ se nām-e-tamaddun ko joḌ rakkhā hai
jo apnī daulat-e-tahzīb bhī luTā baiThe
phir aise ghar meñ ho kyā koī qīmtī sāmān
hasad kī aag se jo apnā ghar jalā baiThe
amīr-e-qāfila ko ho thakan kā jab ehsās
to rāste meñ na kyoñ thak ke qāfila baiThe
unheñ milegā na 'iqbāl' manziloñ kā patā
vo rāhzan hī ko jo rahnumā banā baiThe
jamal-o-husn ki wo anjuman mein kya baiThe
mata-e-hosh-o-KHirad hi ko jo ganwa baiThe
jinhen adab se ilaqa na fikr-o-fan se lagao
hamari bazm mein aise bhi log aa baiThe
kabhi buzurgon se miras mein jo pai thi
wo sari qadren wo tahzib hum bhula baiThe
main sochta hun wo insan hain ki haiwan hain
hain kaun jo na kabhi mil ke ek ja baiThe
unhen se nam-e-tamaddun ko joD rakkha hai
jo apni daulat-e-tahzib bhi luTa baiThe
phir aise ghar mein ho kya koi qimti saman
hasad ki aag se jo apna ghar jala baiThe
amir-e-qafila ko ho thakan ka jab ehsas
to raste mein na kyon thak ke qafila baiThe
unhen milega na 'iqbaal' manzilon ka pata
wo rahzan hi ko jo rahnuma bana baiThe
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 533)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.