jami hai jin pe nazar wo haden nahin aain
jamī hai jin pe nazar vo hadeñ nahīñ aa.iiñ
qadam uThā ki abhī manzileñ nahīñ aa.iiñ
tujhe ḳhabar hai yatīmoñ ke dard kī jin kī
zabān par kabhī farmā.isheñ nahīñ aa.iiñ
gale lagāte haiñ ḳhanjar hazār pusht pe hoñ
munāfaqat kī ye rasmeñ hameñ nahīñ aa.iiñ
adab meñ rahtā huuñ sau iḳhtilāf hoñ mujh ko
baḌoñ ke aage mujhe jur.ateñ nahīñ aa.iiñ
kahāñ ga.e tirī mahfil meñ baiThne vaale
'alī' zamāna huā raunaqeñ nahīñ aa.iiñ
jami hai jin pe nazar wo haden nahin aain
qadam uTha ki abhi manzilen nahin aain
tujhe KHabar hai yatimon ke dard ki jin ki
zaban par kabhi farmaishen nahin aain
gale lagate hain KHanjar hazar pusht pe hon
munafaqat ki ye rasmen hamein nahin aain
adab mein rahta hun sau iKHtilaf hon mujh ko
baDon ke aage mujhe juraten nahin aain
kahan gae teri mahfil mein baiThne wale
'ali' zamana hua raunaqen nahin aain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.