jamil ko gumrahi mubarak ki ab to saman bhi wahi hai
'jamīl' ko gumrahī mubārak ki ab to sāmān bhī vahī hai
jo dil kī vahshat kā thā taqāza ḳhirad kā mailān bhī vahī hai
ḳhudī mohabbat ke falsafe meñ hai us ke jazboñ kī maut lekin
kuchh aur dil meñ utar ke dekho to ishq kī jaan bhī vahī hai
banī thī hamdard ishq kī jab to aql ko ye bhī dekhnā thā
ki jis ko vo fā.eda samajhtī hai us kā nuqsān bhī vahī hai
hamārī mīzān-e-āgahī meñ yaqīn kyā hai gumāñ kī shiddat
jo shak kī āġhosh meñ palā ho usūlan īmān bhī vahī hai
'jamīl' kaisī ḳhudā-parastī vahī ghuTī ḳhvāhishoñ kī mastī
Duboī jis ne hamārī kashtī tumhārā tūfān bhī vahī hai
'jamil' ko gumrahi mubarak ki ab to saman bhi wahi hai
jo dil ki wahshat ka tha taqaza KHirad ka mailan bhi wahi hai
KHudi mohabbat ke falsafe mein hai us ke jazbon ki maut lekin
kuchh aur dil mein utar ke dekho to ishq ki jaan bhi wahi hai
bani thi hamdard ishq ki jab to aql ko ye bhi dekhna tha
ki jis ko wo faeda samajhti hai us ka nuqsan bhi wahi hai
hamari mizan-e-agahi mein yaqin kya hai guman ki shiddat
jo shak ki aaghosh mein pala ho usulan iman bhi wahi hai
'jamil' kaisi KHuda-parasti wahi ghuTi KHwahishon ki masti
Duboi jis ne hamari kashti tumhaara tufan bhi wahi hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 317)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.