janam liya hai jo insan-farosh nagri mein
janam liyā hai jo insāñ-farosh nagrī meñ
sukūt chhāyā huā hai ḳhamosh-nagrī meñ
jo muñh kī khā ke palaTtā hai aur bastī se
nikāltā hai vo sab apnā josh nagrī meñ
agarche chehre se ye saḳht-gīr lagte haiñ
sabhī haiñ dost-sifat barf-posh nagrī meñ
tumhāre shahr ke shar shor kā asar hī nahīñ
ki chhoḌ aayā huuñ maiñ chashm-o-gosh nagrī meñ
paḌī hai sab ko yahāñ apnā sar chhupāne kī
koī to mujh sā dikhe sarfarosh nagrī meñ
amīr-e-shahr ne sarf-e-nazar pisar se kiyā
ġharīb-e-shahr kā niklā hai dosh nagrī meñ
ugā rahe haiñ yahāñ fasl zulmatoñ kī jo
sunā.ī dī hai navā-e-sarosh nagrī meñ
bahār aa.ī hai piilī ḳhizāñ rutoñ ke baa'd
so paayā jaatā hai josh-o-ḳharosh nagrī meñ
'rashīd' naam ke sunte haiñ koī shā.er haiñ
nahīñ hai un sā koī shabdkosh nagrī meñ
janam liya hai jo insan-farosh nagri mein
sukut chhaya hua hai KHamosh-nagri mein
jo munh ki kha ke palaTta hai aur basti se
nikalta hai wo sab apna josh nagri mein
agarche chehre se ye saKHt-gir lagte hain
sabhi hain dost-sifat barf-posh nagri mein
tumhaare shahr ke shar shor ka asar hi nahin
ki chhoD aaya hun main chashm-o-gosh nagri mein
paDi hai sab ko yahan apna sar chhupane ki
koi to mujh sa dikhe sarfarosh nagri mein
amir-e-shahr ne sarf-e-nazar pisar se kiya
gharib-e-shahr ka nikla hai dosh nagri mein
uga rahe hain yahan fasl zulmaton ki jo
sunai di hai nawa-e-sarosh nagri mein
bahaar aai hai pili KHizan ruton ke ba'd
so paya jata hai josh-o-KHarosh nagri mein
'rashid' nam ke sunte hain koi shaer hain
nahin hai un sa koi shabdkosh nagri mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.