jang-e-hayat-o-maut mein kya kya nahin hua
jañg-e-hayāt-o-maut meñ kyā kyā nahīñ huā
guzrā hai dard had se pe chāra nahīñ huā
maiñ ne sadā rakhīñ yahīñ qatroñ sī fitrateñ
maiñ aaj tak ġhurūr kā dariyā nahīñ huā
kyā hādsa hai ye bhī ki rishta tirā mirā
bas biij rah gayā kabhī paudā nahīñ huā
jab ilm ne jahān ko taqsīm kar diyā
achchhā hai lā-ḳhirad huuñ maiñ daanā nahīñ huā
bīmāriyoñ meñ aa.egā pursish ko roz vo
ye soch kar 'sahāb' maiñ achchhā nahīñ huā
jang-e-hayat-o-maut mein kya kya nahin hua
guzra hai dard had se pe chaara nahin hua
main ne sada rakhin yahin qatron si fitraten
main aaj tak ghurur ka dariya nahin hua
kya hadsa hai ye bhi ki rishta tera mera
bas bij rah gaya kabhi pauda nahin hua
jab ilm ne jahan ko taqsim kar diya
achchha hai la-KHirad hun main dana nahin hua
bimariyon mein aaega pursish ko roz wo
ye soch kar 'sahab' main achchha nahin hua
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 144)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.