jang mein jaega ab mera hi sar jaan gaya
jañg meñ jā.egā ab merā hī sar jaan gayā
aur hogā na koī sīna-sipar jaan gayā
mujh shanāvar ko Dubo sakte nahīñ donoñ harīf
maiñ bhī tūfān kā dariyā kā hunar jaan gayā
ūñchī parvāz kī himmat bhī to kar le kargas
laakh shāhīn kā andāz-e-safar jaan gayā
aaj talvār huī jaatī haiñ shāḳheñ us kī
jañg honī hai havāoñ se shajar jaan gayā
is ke āñgan meñ bhī miTTī ke sivā kuchh bhī nahīñ
chāñd ke ghar meñ jo pahuñchā to bashar jaan gayā
jang mein jaega ab mera hi sar jaan gaya
aur hoga na koi sina-sipar jaan gaya
mujh shanawar ko Dubo sakte nahin donon harif
main bhi tufan ka dariya ka hunar jaan gaya
unchi parwaz ki himmat bhi to kar le kargas
lakh shahin ka andaz-e-safar jaan gaya
aaj talwar hui jati hain shaKHen us ki
jang honi hai hawaon se shajar jaan gaya
is ke aangan mein bhi miTTi ke siwa kuchh bhi nahin
chand ke ghar mein jo pahuncha to bashar jaan gaya
- Book : Lehja-e-Gul (Pg. 24)
- Author : Farooq Anjum
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.