jang par aur na adawat pe yaqin rakhta hun
jang par aur na adāvat pe yaqīñ rakhtā huuñ
maiñ huuñ insān mohabbat pe yaqīñ rakhtā huuñ
kab maiñ sarmāya-o-daulat pe yaqīñ rakhtā huuñ
zindagī ke liye mehnat pe yaqīñ rakhtā huuñ
āsmāñ bhī tire qadmoñ pe jhukegā ik din
ai vatan maiñ tirī azmat pe yaqīñ rakhtā huuñ
dharm ke naam kā nīlām mubārak tum ko
kab maiñ maz.hab kī tijārat pe yaqīñ rakhtā huuñ
zinda tārīḳh kā unvāñ hai shahīdoñ kā lahū
azmat-e-zauq-e-shahādat pe yaqīñ rakhtā huuñ
haram-o-dair-o-kalīsā kī taraf kyoñ jā.ūñ
maiñ to insāñ kī mohabbat pe yaqīñ rakhtā huuñ
jang par aur na adawat pe yaqin rakhta hun
main hun insan mohabbat pe yaqin rakhta hun
kab main sarmaya-o-daulat pe yaqin rakhta hun
zindagi ke liye mehnat pe yaqin rakhta hun
aasman bhi tere qadmon pe jhukega ek din
ai watan main teri azmat pe yaqin rakhta hun
dharm ke nam ka nilam mubarak tum ko
kab main mazhab ki tijarat pe yaqin rakhta hun
zinda tariKH ka unwan hai shahidon ka lahu
azmat-e-zauq-e-shahadat pe yaqin rakhta hun
haram-o-dair-o-kalisa ki taraf kyon jaun
main to insan ki mohabbat pe yaqin rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.