jangal bhi the dariya bhi
jañgal bhī the dariyā bhī
saath chalā ik rasta bhī
mahrūmī ne ḳhvāboñ kā
jhulas diyā hai chehra bhī
ruuTh ga.ī ḳhushbū merī
chhoḌ gayā hai saaya bhī
tū har shaḳhs kā dukh bāñTe
terā dukh koī samjhā bhī
ik lamha thā hāsil-e-umr
yaad nahīñ vo lamha bhī
yād-e-safar meñ saath rahī
yaad thī merā rasta bhī
suunā shahr udaas galī
galī meñ thā ik saaya bhī
maazī mujh meñ zinda hai
maiñ huuñ rūh-e-fardā bhī
jangal bhi the dariya bhi
sath chala ek rasta bhi
mahrumi ne KHwabon ka
jhulas diya hai chehra bhi
ruTh gai KHushbu meri
chhoD gaya hai saya bhi
tu har shaKHs ka dukh banTe
tera dukh koi samjha bhi
ek lamha tha hasil-e-umr
yaad nahin wo lamha bhi
yaad-e-safar mein sath rahi
yaad thi mera rasta bhi
suna shahr udas gali
gali mein tha ek saya bhi
mazi mujh mein zinda hai
main hun ruh-e-farda bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.