jangal jangal DhunDne wali mujhko sadaen kis ki thin
jangal jangal DhūñDne vaalī mujh ko sadā.eñ kis kī thiiñ
manzar jo ta.amīr huā thā us pe ghaTā.eñ kis kī thiiñ
barg-o-shajar sab kaañp rahe the dīvāreñ chup-chāp khaḌī thiiñ
vo to san se guzar gayā thā phir ye havā.eñ kis kī thiiñ
apnī apnī qabā sañbhāle saare musāfir guzar ga.e
raah meñ lekin TukḌā-TukḌā kaalī ridā.eñ kis kī thiiñ
kabhī kabhī to sab kuchh ġhā.eb kaisā maiñ aur kaisā vo
tere is āfāq nagar meñ aisī adā.eñ kis kī thiiñ
mere saa.e ke aage koī saaya laraz rahā thā
nikle the jab ghar se apne saath duā.eñ kis kī thiiñ
vo jo bahut ḳhūñ-rez thā sāvan vo to ham ne jī bhī liyā
shāḳh-e-shafaq par pattā-pattā zard qabā.eñ kis kī thiiñ
aañkh meñ merī patthar gum thā pyaas meñ merī sahrā gum
vo to mujh ko chhoḌ chukā thā phir ye jafā.eñ kis kī thiiñ
arzāñ kis kā nuur nihāñ thā nannhī-nannhī kaliyoñ meñ
pattā-pattā ai gul-e-ḳhūbī tujh pe qabā.eñ kis kī thiiñ
jangal jangal DhunDne wali mujh ko sadaen kis ki thin
manzar jo tamir hua tha us pe ghaTaen kis ki thin
barg-o-shajar sab kanp rahe the diwaren chup-chap khaDi thin
wo to san se guzar gaya tha phir ye hawaen kis ki thin
apni apni qaba sanbhaale sare musafir guzar gae
rah mein lekin TukDa-TukDa kali ridaen kis ki thin
kabhi kabhi to sab kuchh ghaeb kaisa main aur kaisa wo
tere is aafaq nagar mein aisi adaen kis ki thin
mere sae ke aage koi saya laraz raha tha
nikle the jab ghar se apne sath duaen kis ki thin
wo jo bahut KHun-rez tha sawan wo to hum ne ji bhi liya
shaKH-e-shafaq par patta-patta zard qabaen kis ki thin
aankh mein meri patthar gum tha pyas mein meri sahra gum
wo to mujh ko chhoD chuka tha phir ye jafaen kis ki thin
arzan kis ka nur nihan tha nannhi-nannhi kaliyon mein
patta-patta ai gul-e-KHubi tujh pe qabaen kis ki thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.