jangal jangal sahra sahra sirf gham-e-uftad hue
jangal jangal sahra sahra sirf gham-e-uftad hue
Masood Akhtar Jamal
MORE BYMasood Akhtar Jamal
jangal jangal sahrā sahrā sirf ġham-e-uftād hue
ahl-e-junūñ par ishq kī rahmat vīrāne ābād hue
kal tak jo ma.asūm-sifat the aaj vahī jallād hue
rafta rafta shaiḳh-o-barahman kitne sitam-ījād hue
mausam-e-gul ke aate aate gulchīnoñ kī sāzish se
kitne girebāñ chaak hue haiñ kitne ghar barbād hue
dām-e-havas har ek nafas hai barq-e-hasad har ek nazar
nazm-e-gulistāñ kyūñ-kar badle said bhī ab sayyād hue
sadiyoñ ke is ujḌe chaman kī ḳhuun se gul-kārī hogī
sunte haiñ arbāb-e-mohabbat zindāñ se āzād hue
pūchhe koī arbab-e-jafā se ab ye pashemānī kab tak
muddat guzrī ahl-e-vafā par taaza sitam ījād hue
be-adabī meñ jo yaktā haiñ Thahre imām-e-bazm-e-adab
jin ko sher na kahnā aaya fan ke vahī ustād hue
dāġh-e-judā.ī ke sadmoñ se kyā guzrī hai kis se kahūñ
kaise kaise phuul chaman ke nazr-e-ġham-e-bedād hue
terī ḳhushī se ham ko ġharaz hai terī razā se kaam hameñ
shaad hue ham terī ḳhātir tere liye nāshād hue
qāmat-e-mauzūñ ke afsāne sehn-e-chaman tak jā pahuñche
ḳhush-andām-e-fasl-e-bahārāñ sard hue shamshād hue
ahd-e-taġhāful kā afsāna un se 'jamāl' ab kyā kahiye
lutf-o-karam sab bhuul ga.e ham jaur-o-sitam sab yaad hue
jangal jangal sahra sahra sirf gham-e-uftad hue
ahl-e-junun par ishq ki rahmat virane aabaad hue
kal tak jo masum-sifat the aaj wahi jallad hue
rafta rafta shaiKH-o-barahman kitne sitam-ijad hue
mausam-e-gul ke aate aate gulchinon ki sazish se
kitne gireban chaak hue hain kitne ghar barbaad hue
dam-e-hawas har ek nafas hai barq-e-hasad har ek nazar
nazm-e-gulistan kyun-kar badle said bhi ab sayyaad hue
sadiyon ke is ujDe chaman ki KHun se gul-kari hogi
sunte hain arbab-e-mohabbat zindan se aazad hue
puchhe koi arbab-e-jafa se ab ye pashemani kab tak
muddat guzri ahl-e-wafa par taza sitam ijad hue
be-adabi mein jo yakta hain Thahre imam-e-bazm-e-adab
jin ko sher na kahna aaya fan ke wahi ustad hue
dagh-e-judai ke sadmon se kya guzri hai kis se kahun
kaise kaise phul chaman ke nazr-e-gham-e-bedad hue
teri KHushi se hum ko gharaz hai teri raza se kaam hamein
shad hue hum teri KHatir tere liye nashad hue
qamat-e-mauzun ke afsane sehn-e-chaman tak ja pahunche
KHush-andam-e-fasl-e-bahaaran sard hue shamshad hue
ahd-e-taghaful ka afsana un se 'jamal' ab kya kahiye
lutf-o-karam sab bhul gae hum jaur-o-sitam sab yaad hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.