jangal ki tarah phaila hua Dar sameT kar
jañgal kī tarah phailā huā Dar sameT kar
maiñ jaanā chāhtā huuñ kahīñ ghar sameT kar
duniyā sameTne ke talabgār haiñ bahut
rakkhā hai maiñ ne ḳhud ko bhī aksar sameT kar
jī chāhtā hai rakh duuñ kisī roz aag par
ġham-hā-e-rozgār kā daftar sameT kar
kaaTī hai raat ham ne añdheroñ ke darmiyāñ
āñkhoñ meñ apnī sub.h kā manzar sameT kar
jīte-jī koī Daal gayā mere sar pe ḳhaak
apnā.iyat kī reshmī chādar sameT kar
'ma.asūm' āsmānoñ kī rakhte the jo ḳhabar
vo rauzanoñ meñ baiTh ga.e par sameT kar
jangal ki tarah phaila hua Dar sameT kar
main jaana chahta hun kahin ghar sameT kar
duniya sameTne ke talabgar hain bahut
rakkha hai main ne KHud ko bhi aksar sameT kar
ji chahta hai rakh dun kisi roz aag par
gham-ha-e-rozgar ka daftar sameT kar
kaTi hai raat hum ne andheron ke darmiyan
aankhon mein apni subh ka manzar sameT kar
jite-ji koi Dal gaya mere sar pe KHak
apnaiyat ki reshmi chadar sameT kar
'masum' aasmanon ki rakhte the jo KHabar
wo rauzanon mein baiTh gae par sameT kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.