jangal ki udasi ko miTane ke liye tha
jangal kī udāsī ko miTāne ke liye thā
ik giit daraḳhtoñ ko sunāne ke liye thā
ik naqsha bahāyā thā samundar meñ kisī ne
ik naqsha samundar ke ḳhazāne ke liye thā
ik shabnamī raste pe safar narm havā kā
bhīgī huī ḳhushbū ke Thikāne ke liye thā
ik abr ke mausam meñ harī dhuup kā paudā
ḳhvāboñ ke baġhīche meñ ugāne ke liye thā
ik jazba-e-shādāb zamāne kī nazar meñ
rasmoñ kī añgīThī meñ jalāne ke liye thā
manzil pe pahuñch kar mujhe ehsās huā hai
raste meñ paḌā phuul uThāne ke liye thā
jangal ki udasi ko miTane ke liye tha
ek git daraKHton ko sunane ke liye tha
ek naqsha bahaya tha samundar mein kisi ne
ek naqsha samundar ke KHazane ke liye tha
ek shabnami raste pe safar narm hawa ka
bhigi hui KHushbu ke Thikane ke liye tha
ek abr ke mausam mein hari dhup ka pauda
KHwabon ke baghiche mein ugane ke liye tha
ek jazba-e-shadab zamane ki nazar mein
rasmon ki angiThi mein jalane ke liye tha
manzil pe pahunch kar mujhe ehsas hua hai
raste mein paDa phul uThane ke liye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.