jangalon ka na hi baghat ka pala hua hai
jangaloñ kā na hī bāġhāt kā paalā huā hai
ye kabūtar to mire haath kā paalā huā hai
amn kā ye jo parinda hai amaañ meñ merī
ye mirī niyyat-e-isbāt kā paalā huā hai
jis ko bhī dekhiye vo qaht kā lagtā hai shikār
jabki ye qaht bhī barsāt kā paalā huā hai
soz to is meñ nahīñ hai magar ik huuk sī hai
dil kā ye zaḳhm to ḳhadshāt kā paalā huā hai
maiñ ġhalat ho nahīñ saktā huuñ kisī bhī sūrat
ye tasavvur hī ḳhurāfāt kā paalā huā hai
har samajhdār use shaiḳh samajhne lag jaa.e
har ġhulām aisā jo sādāt kā paalā huā hai
jaane kaise ye samajh letā hai dil kī halchal
kyā mirā zehn ishārāt kā paalā huā hai
aaj usī zahr ko piinā hai tumheñ bhī 'aḳhtar'
haañ vahī zahr jo suqrāt kā paalā huā hai
jangalon ka na hi baghat ka pala hua hai
ye kabutar to mere hath ka pala hua hai
amn ka ye jo parinda hai aman mein meri
ye meri niyyat-e-isbaat ka pala hua hai
jis ko bhi dekhiye wo qaht ka lagta hai shikar
jabki ye qaht bhi barsat ka pala hua hai
soz to is mein nahin hai magar ek huk si hai
dil ka ye zaKHm to KHadshat ka pala hua hai
main ghalat ho nahin sakta hun kisi bhi surat
ye tasawwur hi KHurafat ka pala hua hai
har samajhdar use shaiKH samajhne lag jae
har ghulam aisa jo sadat ka pala hua hai
jaane kaise ye samajh leta hai dil ki halchal
kya mera zehn ishaaraat ka pala hua hai
aaj usi zahr ko pina hai tumhein bhi 'aKHtar'
han wahi zahr jo suqraat ka pala hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.