jangalon mein jo KHuda titliyan mahfuz rakhe
jangalon mein jo KHuda titliyan mahfuz rakhe
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
jangaloñ meñ jo ḳhudā titliyāñ mahfūz rakhe
to zamāne meñ vahī laḌkiyāñ mahfūz rakhe
maiñ ne ik fasl ugā rakkhī hai dard-e-dil kī
merī āñkhoñ meñ qazā badliyāñ mahfūz rakhe
bādbāñ khol diyā ham ne falak ko kah do
āñdhiyāñ-vāñdhiyāñ ye bijliyāñ mahfūz rakhe
dasht-o-sahrā meñ rakhe 'ishq ko zinda jo vo
shahr ke biich meñ vīrāniyāñ mahfūz rakhe
jab qafas de hī diyā hai mirī qismat meñ tab
vahshat-e-‘ishq se ye tīliyāñ mahfūz rakhe
jangalon mein jo KHuda titliyan mahfuz rakhe
to zamane mein wahi laDkiyan mahfuz rakhe
main ne ek fasl uga rakkhi hai dard-e-dil ki
meri aankhon mein qaza badliyan mahfuz rakhe
baadban khol diya hum ne falak ko kah do
aandhiyan-wandhiyan ye bijliyan mahfuz rakhe
dasht-o-sahra mein rakhe 'ishq ko zinda jo wo
shahr ke bich mein viraniyan mahfuz rakhe
jab qafas de hi diya hai meri qismat mein tab
wahshat-e-‘ishq se ye tiliyan mahfuz rakhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.