jannat-e-abaad ko viran karte jaenge
jannat-e-ābād ko vīrān karte jā.eñge
gulsitāñ ko pāsbāñ shamshān karte jā.eñge
ḳhāna-e-jannat meñ ādam-zād kā maskan na ho
is ġharaz se ḳhud ko vo shaitān karte jā.eñge
tum lagā kar aag gulshan ko bhale kar do tabāh
ham to ātish-dān ko gul-dān karte jā.eñge
maut bhī parchhā.ī ban kar sāmne jab aa.egī
rafta-rafta us ko apnī jaan karte jā.eñge
parcham-e-kirdār ko apne agar kar leñ buland
phir to ham iblīs ko insān karte jā.eñge
us ghaḌī kyā ḳhuub manzar hogā sab ke sāmne
ḳhud ko jab un ke liye qurbān karte jā.eñge
pur-tajallī ruḳh pe un ke pyāsī nazreñ Daal kar
ham to apnī aañkh ko halkān karte jā.eñge
kah ke un ke husn par 'tasnīm' ik taaza ġhazal
huur aur pariyoñ ko bhī hairān karte jā.eñge
jannat-e-abaad ko viran karte jaenge
gulsitan ko pasban shamshan karte jaenge
KHana-e-jannat mein aadam-zad ka maskan na ho
is gharaz se KHud ko wo shaitan karte jaenge
tum laga kar aag gulshan ko bhale kar do tabah
hum to aatish-dan ko gul-dan karte jaenge
maut bhi parchhai ban kar samne jab aaegi
rafta-rafta us ko apni jaan karte jaenge
parcham-e-kirdar ko apne agar kar len buland
phir to hum iblis ko insan karte jaenge
us ghaDi kya KHub manzar hoga sab ke samne
KHud ko jab un ke liye qurban karte jaenge
pur-tajalli ruKH pe un ke pyasi nazren Dal kar
hum to apni aankh ko halkan karte jaenge
kah ke un ke husn par 'tasnim' ek taza ghazal
hur aur pariyon ko bhi hairan karte jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.