jannat se gharaz kuchh hai na gulzar se matlab
jannat se gharaz kuchh hai na gulzar se matlab
Sayad Humayun Mirza Haqeer
MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer
jannat se ġharaz kuchh hai na gulzār se matlab
ham ko hai faqat kūcha-e-dildār se matlab
ḳhanjar se ġharaz mujh ko na talvār se matlab
gar hai to tire abrū-e-ḳhamdār se matlab
bose jo yuuñ hiiñ mil ga.e phir laḌne se hāsil
matlab se ġharaz hai hameñ takrār se matlab
tum ḳhuub liye jāoge aur ḳhuub banoge
kahnā na kahīñ us but-e-tarrār se matlab
darbāñ ne ḳhabar kī ki 'haqīr' aa.e hue haiñ
farmāyā nikālo hameñ mai-ḳhvār se matlab
jannat se gharaz kuchh hai na gulzar se matlab
hum ko hai faqat kucha-e-dildar se matlab
KHanjar se gharaz mujh ko na talwar se matlab
gar hai to tere abru-e-KHamdar se matlab
bose jo yun hin mil gae phir laDne se hasil
matlab se gharaz hai hamein takrar se matlab
tum KHub liye jaoge aur KHub banoge
kahna na kahin us but-e-tarrar se matlab
darban ne KHabar ki ki 'haqir' aae hue hain
farmaya nikalo hamein mai-KHwar se matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.