janta ko sabz-bagh dikhaenge mil ke hum
janta ko sabz-bagh dikhaenge mil ke hum
Hameed Dilkash Khandwi
MORE BYHameed Dilkash Khandwi
jantā ko sabz-bāġh dikhā.eñge mil ke ham
har ik ko bevaqūf banā.eñge mil ke ham
tum dekhnā sabaq jo sikhā.eñge mil ke ham
bhārat ko apne nark banā.eñge mil ke ham
bharte raheñge apne gharoñ kī tijoriyāñ
kangāl is vatan ko banā.eñge mil ke ham
rahne na deñge dhartī ko hargiz harī-bharī
jo bhī bache haiñ peḌ kaTā.eñge mil ke ham
insān kyā hai dekh ke shaitān kaañp uThe
bhārat meñ aisī dhuum machā.eñge mil ke ham
tārīḳh apne aap ko dohrā.egī zarūr
vo din bhī sab ko jald dikhā.eñge mil ke ham
phir koī bhī bujhā na sakegā jise kabhī
duniyā meñ aisī aag lagā.eñge mil ke ham
lī thī shapat to dil meñ kiyā thā ye ahd bhī
dange fasād ḳhuub karā.eñge mil ke ham
janta ko sabz-bagh dikhaenge mil ke hum
har ek ko bewaquf banaenge mil ke hum
tum dekhna sabaq jo sikhaenge mil ke hum
bhaarat ko apne nark banaenge mil ke hum
bharte rahenge apne gharon ki tijoriyan
kangal is watan ko banaenge mil ke hum
rahne na denge dharti ko hargiz hari-bhari
jo bhi bache hain peD kaTaenge mil ke hum
insan kya hai dekh ke shaitan kanp uThe
bhaarat mein aisi dhum machaenge mil ke hum
tariKH apne aap ko dohraegi zarur
wo din bhi sab ko jald dikhaenge mil ke hum
phir koi bhi bujha na sakega jise kabhi
duniya mein aisi aag lagaenge mil ke hum
li thi shapat to dil mein kiya tha ye ahd bhi
dange fasad KHub karaenge mil ke hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.