jarahaton ki malahaton se mata-e-dil KHub-ru karenge
jarahaton ki malahaton se mata-e-dil KHub-ru karenge
Saeed Soharwardi
MORE BYSaeed Soharwardi
jarāhatoñ kī malāhatoñ se matā-e-dil ḳhūb-rū kareñge
ham apne dāman kī dhajjiyoñ se hazār dāmāñ rafū kareñge
shuā-e-barq-o-sharār le kar jamāl-e-rang-e-bahār le kar
nigār-e-fardā ko husn deñge bashar ko ham surḳh-rū kareñge
hamārā ġham hai vo bār-e-hastī jise malā.ek uTThā na paa.eñ
jahāñ pe chhalke hamāre sāġhar farishte us jā vuzū kareñge
hamāre siine ke tez sho'loñ meñ pal rahe haiñ hazār gulshan
jahāñ se guzreñge apne naale fazā ko vo mushk-bū kareñge
kareñge qaabū meñ bijliyoñ ko rakheñge pāband āñdhiy.oñ ko
ḳhizāñ-girafta guloñ ko ik din kamāl-e-sad-rang-o-bū kareñge
urūj-e-zauq-e-nazar se hoñgī tajalliyāñ kitnī āshkāra
har ek zarre kī quvvatoñ ko nisār-e-zauq-e-numū kareñge
nashāt-o-nik.hat-ba-dosh sho'le hamāre naġhmoñ kī aabrū ban
rakheñge sham'-e-hayāt raushan bahār kī justujū kareñge
jarahaton ki malahaton se mata-e-dil KHub-ru karenge
hum apne daman ki dhajjiyon se hazar daman rafu karenge
shua-e-barq-o-sharar le kar jamal-e-rang-e-bahaar le kar
nigar-e-farda ko husn denge bashar ko hum surKH-ru karenge
hamara gham hai wo bar-e-hasti jise malaek uTTha na paen
jahan pe chhalke hamare saghar farishte us ja wuzu karenge
hamare sine ke tez sho'lon mein pal rahe hain hazar gulshan
jahan se guzrenge apne nale faza ko wo mushk-bu karenge
karenge qabu mein bijliyon ko rakhenge paband aandhiyon ko
KHizan-girafta gulon ko ek din kamal-e-sad-rang-o-bu karenge
uruj-e-zauq-e-nazar se hongi tajalliyan kitni aashkara
har ek zarre ki quwwaton ko nisar-e-zauq-e-numu karenge
nashat-o-nikhat-ba-dosh sho'le hamare naghmon ki aabru ban
rakhenge sham'-e-hayat raushan bahaar ki justuju karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.