jarasimon bhari sui se tan ko si rahe hain
jarāsīmoñ bharī suuī se tan ko sī rahe haiñ
davā.ī zahr sī hai zahr bhī to pī rahe haiñ
hamārā saañs hī sartān ban jaa.e na dil kā
ham aisī habs-āmeza havā meñ jī rahe haiñ
qarantīna meñ rakhe hoñ yā ehrāmoñ ke andar
badan 'ibrat sarā māhaul par taarī rahe haiñ
tag-o-tāz-e-nafas hai maut ke madd-e-muqābil
lahū insān kā nādīda kiiḌe pī rahe haiñ
sarisht-e-ādmī meñ hārnā shāmil nahīñ hai
masā.il jo bhī haiñ hālāt jaise bhī rahe haiñ
to kyā hai gar milā deñ jhuuT aur sachchā.ī ke jiin
vo aise tajrabe vaise bhī to kar hī rahe haiñ
na.ī duniyāoñ ke jo password soche haiñ ham ne
vo 'āsim' zindagī kī ibtidā.ī kī rahe haiñ
jarasimon bhari sui se tan ko si rahe hain
dawai zahr si hai zahr bhi to pi rahe hain
hamara sans hi sartan ban jae na dil ka
hum aisi habs-ameza hawa mein ji rahe hain
qarantina mein rakhe hon ya ehramon ke andar
badan 'ibrat sara mahaul par tari rahe hain
tag-o-taz-e-nafas hai maut ke madd-e-muqabil
lahu insan ka nadida kiDe pi rahe hain
sarisht-e-admi mein haarna shamil nahin hai
masail jo bhi hain haalat jaise bhi rahe hain
to kya hai gar mila den jhuT aur sachchai ke jin
wo aise tajrabe waise bhi to kar hi rahe hain
nai duniyaon ke jo password soche hain hum ne
wo 'asim' zindagi ki ibtidai ki rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.