jashn-e-gham-e-hayat manane nahin diya
jashn-e-ġham-e-hayāt manāne nahīñ diyā
is muflisī ne zahr bhī khāne nahīñ diyā
ham ne jo sāda-lauhī meñ khāyā koī fareb
phir vo fareb auroñ ko khāne nahīñ diyā
āñdhī ne raushnī kī himāyat to kī bahut
lekin koī charāġh jalāne nahīñ diyā
ik-ādh ghar to jal gayā par shahr bach gayā
ab ke diye kā saath havā ne nahīñ diyā
raazī thā maiñ bhī aur mirā dushman bhī sulh par
kuchh dostoñ ne haath milāne nahīñ diyā
jashn-e-gham-e-hayat manane nahin diya
is muflisi ne zahr bhi khane nahin diya
hum ne jo sada-lauhi mein khaya koi fareb
phir wo fareb auron ko khane nahin diya
aandhi ne raushni ki himayat to ki bahut
lekin koi charagh jalane nahin diya
ik-adh ghar to jal gaya par shahr bach gaya
ab ke diye ka sath hawa ne nahin diya
raazi tha main bhi aur mera dushman bhi sulh par
kuchh doston ne hath milane nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.