jatan se rakh hamein jab tak ki ba-hayat hain hum
jatan se rakh hameñ jab tak ki bā-hayāt haiñ ham
tire badan kī riyāsat ke kāġhzāt haiñ ham
hameñ ḳharīdā thā sone ke bhaav meñ jis ne
ab us kī nazroñ meñ pītal ke zevarāt haiñ ham
ta'alluqāt kā nashsha utar chukā hai magar
abhī bhī lagtā hai ham ko tumhāre saath haiñ ham
jise samajh ke tujhe ishq kā hunar aaya
usī kitāb-e-mohabbat kī lafziyāt haiñ ham
usī ne rakkhā hai be-lutf hāshiye pe hameñ
vo jis qabīle kī aslī zarūriyāt haiñ ham
hameñ fuzūl idāroñ pe ḳharch mat karnā
mohabbatoñ ke safar se milī zakāt haiñ ham
jatan se rakh hamein jab tak ki ba-hayat hain hum
tere badan ki riyasat ke kaghzat hain hum
hamein KHarida tha sone ke bhaw mein jis ne
ab us ki nazron mein pital ke zewaraat hain hum
ta'alluqat ka nashsha utar chuka hai magar
abhi bhi lagta hai hum ko tumhaare sath hain hum
jise samajh ke tujhe ishq ka hunar aaya
usi kitab-e-mohabbat ki lafziyat hain hum
usi ne rakkha hai be-lutf hashiye pe hamein
wo jis qabile ki asli zaruriyat hain hum
hamein fuzul idaron pe KHarch mat karna
mohabbaton ke safar se mili zakat hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.