jauhar-e-pak tera KHak mein gar KHak na ho
jauhar-e-pāk tirā ḳhaak meñ gar ḳhaak na ho
tā-abad lab pe tire shikva-e-aflāk na ho
ābrū-rez-e-ḳhudī ho na agar tū ḳhud hī
umr bhar aañkh tirī ashk se namnāk na ho
hai tirī soḳhta-sāmānī hī se us kā vajūd
sho.ala rahtā hai kahāñ jab ḳhas-o-ḳhāshāk na ho
azm-e-tasḳhīr ke jazbāt hoñ āñkhoñ meñ agar
munharif tujh se kabhī fitrat-e-chālāk na ho
rashk-e-jannat ho kahāñ jauhar-e-dāna kī numūd
haath se apne agar us kā jigar chaak na ho
is haqīqat ko ḳhudārā nazar-andāz na kar
sard ho jaatā hai vo sho.ala jo bebāk na ho
ġhair-mumkin hai 'amīñ' hal ho mo.ammā-e-hayāt
dil agar paak na ho dīda-e-darrāk na ho
jauhar-e-pak tera KHak mein gar KHak na ho
ta-abad lab pe tere shikwa-e-aflak na ho
aabru-rez-e-KHudi ho na agar tu KHud hi
umr bhar aankh teri ashk se namnak na ho
hai teri soKHta-samani hi se us ka wajud
shoala rahta hai kahan jab KHas-o-KHashak na ho
azm-e-tasKHir ke jazbaat hon aankhon mein agar
munharif tujh se kabhi fitrat-e-chaalak na ho
rashk-e-jannat ho kahan jauhar-e-dana ki numud
hath se apne agar us ka jigar chaak na ho
is haqiqat ko KHudara nazar-andaz na kar
sard ho jata hai wo shoala jo bebak na ho
ghair-mumkin hai 'amin' hal ho moamma-e-hayat
dil agar pak na ho dida-e-darrak na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.