jaur ke baad hai kyon lutf ye aadat kya hai
jaur ke baa'd hai kyoñ lutf ye aadat kyā hai
tum talāfī jo karo is kī zarūrat kyā hai
ek din maan hī jāoge hamārā kahnā
tum kahe jaao yahī terī haqīqat kyā hai
va.ada-e-vasl se inkār hai to qatl karo
tum se ham pūchhte haiñ is meñ qabāhat kyā hai
bosa māñgā to kahā us ne badal kar chitvan
aap ko ye bhī ḳhabar hai mirī aadat kyā hai
haa.e kyā thā vo zamāna ki tum āgāh na the
shukr kis chiiz ko kahte haiñ shikāyat kyā hai
kyā kahūñ kis se kahūñ dil kī haqīqat ai 'dāġh'
sab yahī pūchhte haiñ kahiye to hazrat kyā hai
jaur ke ba'd hai kyon lutf ye aadat kya hai
tum talafi jo karo is ki zarurat kya hai
ek din man hi jaoge hamara kahna
tum kahe jao yahi teri haqiqat kya hai
wada-e-wasl se inkar hai to qatl karo
tum se hum puchhte hain is mein qabahat kya hai
bosa manga to kaha us ne badal kar chitwan
aap ko ye bhi KHabar hai meri aadat kya hai
hae kya tha wo zamana ki tum aagah na the
shukr kis chiz ko kahte hain shikayat kya hai
kya kahun kis se kahun dil ki haqiqat ai 'dagh'
sab yahi puchhte hain kahiye to hazrat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.