Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaur kis ka hai sitam kis ka hai

Faheemuddin Ahmad Faheem

jaur kis ka hai sitam kis ka hai

Faheemuddin Ahmad Faheem

MORE BYFaheemuddin Ahmad Faheem

    jaur kis hai sitam kis hai

    kuchh na pūchho ye karam kis hai

    dil-e-be-tāb taḌap kar kah de

    pūchhte vo haiñ ki ġham kis hai

    tere kūche meñ batā de sach-much

    aaj ye naqsh-e-qadam kis hai

    jalva-afroz hai tamām

    dair kis hai haram kis hai

    dil-e-nāshād abhī tak qaa.em

    na taḌapne se bharam kis hai

    āmad-e-pīr-e-muġhāñ hai shāyad

    muntazir shaiḳh-e-haram kis hai

    charḳh bhī dekh ke chakkar meñ hai

    ki ye andāz-e-sitam kis hai

    be-kasī raah lag apnī ye na pūchh

    dhyān mujh ko shab-e-ġham kis hai

    dil ke be-sāḳhta jo paar huā

    haa.e ye tīr-e-sitam kis hai

    sunte bole ye hai nazm 'fahīm'

    aisā shoḳh aur qalam kis hai

    jaur kis ka hai sitam kis ka hai

    kuchh na puchho ye karam kis ka hai

    dil-e-be-tab taDap kar kah de

    puchhte wo hain ki gham kis ka hai

    tere kuche mein bata de sach-much

    aaj ye naqsh-e-qadam kis ka hai

    jalwa-afroz tu hi tu hai tamam

    dair kis ka hai haram kis ka hai

    dil-e-nashad abhi tak qaem

    na taDapne se bharam kis ka hai

    aamad-e-pir-e-mughan hai shayad

    muntazir shaiKH-e-haram kis ka hai

    charKH bhi dekh ke chakkar mein hai

    ki ye andaz-e-sitam kis ka hai

    be-kasi rah lag apni ye na puchh

    dhyan mujh ko shab-e-gham kis ka hai

    dil ke be-saKHta jo par hua

    hae ye tir-e-sitam kis ka hai

    sunte hi bole ye hai nazm 'fahim'

    aisa shoKH aur qalam kis ka hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now