jaur tera hamein uThana tha
jaur terā hameñ uThānā thā
ye bhī ik maut kā Thikānā thā
dil hī zulfoñ ke pech meñ aayā
aur aisā koī divāna thā
vasl mahshar pe kyoñ rakhā mauqūf
ye to qissa yahīñ chukānā thā
chahchahe ab kahāñ rahe bulbul
ḳhushī kā aur hī zamāna thā
bevafā tujh se puurī paḌnī thī
ham ne aage hī tujh ko jaanā thā
vaqt-e-ruḳhsat jo marte-marte bache
itne din aur ranj paanā thā
jiye the hijr ke liye 'fidvī'
yuuñ ḳhudā ko hameñ dikhānā thā
jaur tera hamein uThana tha
ye bhi ek maut ka Thikana tha
dil hi zulfon ke pech mein aaya
aur aisa koi diwana tha
wasl mahshar pe kyon rakha mauquf
ye to qissa yahin chukana tha
chahchahe ab kahan rahe bulbul
KHushi ka aur hi zamana tha
bewafa tujh se puri paDni thi
hum ne aage hi tujh ko jaana tha
waqt-e-ruKHsat jo marte-marte bache
itne din aur ranj pana tha
jiye the hijr ke liye 'fidwi'
yun KHuda ko hamein dikhana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.