jawab unki jafaon ka yun diya jae
javāb un kī jafāoñ kā yuuñ diyā jaa.e
diloñ se naqsh-e-vafā hī miTā diyā jaa.e
sarishk ḳhūn-e-jigar zahr yā sharāb ai dost
batā ye to ki tire ġham meñ kyā piyā jaa.e
jo koī chāk-e-garebāñ kahīñ mile yaaro
to apne tār-e-garebāñ se vo siyā jaa.e
kisī ke haath meñ ḳhanjar kisī hathelī pe sar
tumhāre shahr meñ ab kis tarah jiyā jaa.e
jahān-e-zar ke ḳhudāoñ se aaj ai 'rif.at'
hisāb-e-tishna-labī ab chukā liyā jaa.e
jawab un ki jafaon ka yun diya jae
dilon se naqsh-e-wafa hi miTa diya jae
sarishk KHun-e-jigar zahr ya sharab ai dost
bata ye to ki tere gham mein kya piya jae
jo koi chaak-e-gareban kahin mile yaro
to apne tar-e-gareban se wo siya jae
kisi ke hath mein KHanjar kisi hatheli pe sar
tumhaare shahr mein ab kis tarah jiya jae
jahan-e-zar ke KHudaon se aaj ai 'rifat'
hisab-e-tishna-labi ab chuka liya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.