jawani kar-farma-e-mohabbat hoti jati hai
javānī kār-farmā-e-mohabbat hotī jaatī hai
qayāmat meñ bapā taaza qayāmat hotī jaatī hai
mohabbat ā.ina-dār-e-haqīqat hotī jaatī hai
mirī nazroñ meñ har shai ḳhūbsūrat hotī jaatī hai
vahī haiñ roz-o-shab par tīra-qismat hotī jaatī hai
har ik sub.h-e-masarrat shām-e-hasrat hotī jaatī hai
har ik ḳhvāhish har ik ummīd ruḳhsat hotī jaatī hai
mohabbat ke liye un se mohabbat hotī jaatī hai
kabhī rāz-e-tarab kī justujū thī ab ye aalam hai
ḳhushī ke naam se bhī dil ko nafrat hotī jaatī hai
sukūñ to miT chukā betābiyāñ bhī miTtī jaatī haiñ
dil-e-zinda kī takmīl-e-shahādat hotī jaatī hai
rageñ khīñchtī haiñ dil siine se bāhar niklā aatā hai
gale mil mil ke un kī yaad ruḳhsat hotī jaatī hai
shikan laao jabīñ par yā nigāh-e-lutf se dekho
har ik sūrat mire miTne kī sūrat hotī jaatī hai
laḌakpan aur ehsās-e-javānī tauba hai tauba
kalī khilne se pahle mast-e-nik.hat hotī jaatī hai
mubārak husn-e-be-parvā ko be-parvā.iyāñ apnī
mohabbat aap ġham-ḳhvār-e-mohabbat hotī jaatī hai
jawani kar-farma-e-mohabbat hoti jati hai
qayamat mein bapa taza qayamat hoti jati hai
mohabbat aaina-dar-e-haqiqat hoti jati hai
meri nazron mein har shai KHubsurat hoti jati hai
wahi hain roz-o-shab par tira-qismat hoti jati hai
har ek subh-e-masarrat sham-e-hasrat hoti jati hai
har ek KHwahish har ek ummid ruKHsat hoti jati hai
mohabbat ke liye un se mohabbat hoti jati hai
kabhi raaz-e-tarab ki justuju thi ab ye aalam hai
KHushi ke nam se bhi dil ko nafrat hoti jati hai
sukun to miT chuka betabiyan bhi miTti jati hain
dil-e-zinda ki takmil-e-shahadat hoti jati hai
ragen khinchti hain dil sine se bahar nikla aata hai
gale mil mil ke un ki yaad ruKHsat hoti jati hai
shikan lao jabin par ya nigah-e-lutf se dekho
har ek surat mere miTne ki surat hoti jati hai
laDakpan aur ehsas-e-jawani tauba hai tauba
kali khilne se pahle mast-e-nikhat hoti jati hai
mubarak husn-e-be-parwa ko be-parwaiyan apni
mohabbat aap gham-KHwar-e-mohabbat hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.