jawani ke dinon mein yun guzar-auqat hoti thi
javānī ke dinoñ meñ yuuñ guzar-auqāt hotī thī
na pahle din nikaltā thā na pahle raat hotī thī
ġhazal ne mujh se chhīnā hai mirā tarz-e-suḳhan varna
maiñ jab tak nazm kahtā thā to tum se baat hotī thī
bahut din ham Tapaktī chhat ke nīche faaqe karte the
bahut din tak hamāre gaañv meñ barsāt hotī thī
tumhāre shahr meñ ye bhī Thikāna chhin gayā apnā
jahāñ se pul ye niklā hai vahāñ fōtpath hotī thī
jawani ke dinon mein yun guzar-auqat hoti thi
na pahle din nikalta tha na pahle raat hoti thi
ghazal ne mujh se chhina hai mera tarz-e-suKHan warna
main jab tak nazm kahta tha to tum se baat hoti thi
bahut din hum Tapakti chhat ke niche faqe karte the
bahut din tak hamare ganw mein barsat hoti thi
tumhaare shahr mein ye bhi Thikana chhin gaya apna
jahan se pul ye nikla hai wahan footpath hoti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.