jawani mein tabiat la-ubaali hoti jati hai
javānī meñ tabī.at lā-ubālī hotī jaatī hai
taraqqī par mirī shorīda-hālī hotī jaatī hai
shab-e-ġham chhāyā jaatā hai dhuāñ aahoñ ke sho.aloñ se
sitāre TūTte haiñ raat kaalī hotī jaatī hai
umīdeñ aatī haiñ aa aa ke dil se niklī jaatī haiñ
ye vo bastī hai jo bas bas ke ḳhālī hotī jaatī hai
khile jaate haiñ gul maqtal meñ kyā kyā aks-e-āriz se
kisī kī teġh bhī phūloñ kī Daalī hotī jaatī hai
vo sun kar hāl-e-furqat hogā hogā kahte jaate haiñ
kahānī merī maazī ehtimālī hotī jaatī hai
mile haiñ sunñe vaale dil ke patthar ai 'vafā' aise
ki sharminda mirī nāzuk-ḳhayālī hotī jaatī hai
jawani mein tabiat la-ubaali hoti jati hai
taraqqi par meri shorida-haali hoti jati hai
shab-e-gham chhaya jata hai dhuan aahon ke shoalon se
sitare TuTte hain raat kali hoti jati hai
umiden aati hain aa aa ke dil se nikli jati hain
ye wo basti hai jo bas bas ke KHali hoti jati hai
khile jate hain gul maqtal mein kya kya aks-e-ariz se
kisi ki tegh bhi phulon ki Dali hoti jati hai
wo sun kar haal-e-furqat hoga hoga kahte jate hain
kahani meri mazi ehtimali hoti jati hai
mile hain sunne wale dil ke patthar ai 'wafa' aise
ki sharminda meri nazuk-KHayali hoti jati hai
- Book : Sang-e-meel (Pg. 98)
- Author : mela Ram ‘vfaa’
- Publication : Darpan Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.