jawaz kya hai ki is shahr ki tabahi na ho
javāz kyā hai ki is shahr kī tabāhī na ho
jahāñ kisī ne bhī rasm-e-vafā nibāhī na ho
vo ġham milā hai ki dil se du'ā nikaltī hai
ye imtihāñ kisī dushman kā bhī ilāhī na ho
zabāñ pe harf-e-tamannā bhī ruk nahīñ saktā
ye ḳhauf bhī hai ki barham mizāj-e-shāhī na ho
chhaTī na tīrgī-e-dil to fā.eda pyāre
hazār chāhe qabā par kahīñ siyāhī na ho
vo guftugū meñ farishta sahī magar 'ālī'
jab us ke paas bhī kirdār kī gavāhī na ho
jawaz kya hai ki is shahr ki tabahi na ho
jahan kisi ne bhi rasm-e-wafa nibahi na ho
wo gham mila hai ki dil se du'a nikalti hai
ye imtihan kisi dushman ka bhi ilahi na ho
zaban pe harf-e-tamanna bhi ruk nahin sakta
ye KHauf bhi hai ki barham mizaj-e-shahi na ho
chhaTi na tirgi-e-dil to faeda pyare
hazar chahe qaba par kahin siyahi na ho
wo guftugu mein farishta sahi magar 'ali'
jab us ke pas bhi kirdar ki gawahi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.